Tuesday, August 28, 2018

Decision kaise le? | How to take decision?

Decision Kise Kaihte Hai?

Hum kisi bhi kaam ko karne ke liye jo first step lete hai use decision kaihte hai. Hum koi bhi kaam bina desicion ke nahi karte hai. Ye humare daily life me sabse bada role play karta hai kyun ki humara har ek chhota se chhota decision humara future decide karta hai.

Hum Apni Life Mein Sahi Decision Kaise Le?

Decision kaise le, How to take decision
How to take decision?

Life mein aise bahut se mod aate hai jaha hum decide nahi kar paate ki humare life ke liye kaunsa decision sahi hai aur kaunsa galat. Main aapko ek sacch batata hoon sabse pehle aapko ye samajhna hoga ki decision sirf decision hota hai sahi ya galat nahi hota hai. Ho sakta hai jo decision aapke liye galat ho woh kisi aur ke liye sahi ho aur jo decision aapke liye sahi ho woh kisi aur ke liye galat ho, jaise ki maan lejiye aap aur aapke friend ne kisi bank mein aapne saare paise deposit kar diya ho tabhi kuch month ke baad aap sochte hai ki unn paise ko kisi property mein invest kar dena chahiye ye baat aap apne friend se discuss karte hai but aapka friend mana kar deta hai lekin aap apne saare paise ko withdrawal karke property mein invest kar dete hai tabhi kuch month ke baad aapko news milti hai ki uss bank ne ghotala kar diya aur public ka paise leke bhag gai toh ya pe aapka liya hua decision sahi raha aur aapke friend ke liye galat wahi pe agar aap apne friend ki jagah hote toh woh decision aapke liye galat hota aur aapke friend ke sahi hota.

Aap Apni Life Mein Koi Bhi Decision Lene Se Pahle Ye 3 Baatein Khud Se Jarur Puche:-


  • Aap woh decision kyu le rahe hai?
  • Agar woh decision sahi hua to aapke life mein kya positive changes honge?
  • Agar woh decision galat hua toh aapke life pe kitna farq padh sakta?


Agar aapki life mein jayad farq nahi padd raha ho but positive changes bahut ho sakte hai toh aap woh decision le sakte hai aur agar woh decision lene mein aapki life mein bahut farq padega but phir bhi aapko uss decision ko lene ka risk uthana chahte hain toh aap kuch baaton ka dhayan jarur rakhen nahi toh aap kisi badi problem me padd sakte hai- aapke paas backup plan hona bahut jaruri hai, jo bhi decision lena chahte hai uske liye aap ye jarur check karein ki ye aap kisi ke kahne ya kisi ko dekhke toh aap nahi le rahein na kahin aap kisi motivational videos etc. ko dekh ya sunke toh nahi le rahe hai na motivational videos dekh ke aur josh mein koi bhi faisla nahi lena chahiye balki uske liye preparation and jab bhi aap koi bhi decision le toh apne mind ko bilkul shaant karke hi le means neutral karke.

Friends maine apni life mein bahut se aise decision liye hai jo mere liye galat sabit hue mein jaise ki motivational videos dekhke ke, josh me, dukhi hoke, khushi mein etc. isliye mein aapko jo bhi bata rha hu woh mere life ke experience se maine sikha hai and I hope ki aapne isse kuch jarur sikha hoga and friends next topic ke liye comment section mein comment karein

No comments:

Post a Comment

Decision kaise le? | How to take decision?

Decision Kise Kaihte Hai ? Hum kisi bhi kaam ko karne ke liye jo first step lete hai use decision kaihte hai. Hum koi bhi kaam bina desi...